Namo
Arhantanam
Param
arhatha sampan, chaar ghan ghati karma ka kshay kar anant gyan,
anant darshan, anant charitra, anant sakti aur aath pratiharay,
en barraha guno se susobhit, chowtish atisaya paintees
vachanatisaya se yukt, dharm, tirth ke pravatak vartaman
tirthankar simmandhar, adi arhato ko vinamra bhav se panchang
pranati purvak vandana, Tikhuto, ayahinam……
Namo
Siddhanam
Param siddhi samprapt, asta
karma kshya kar keval gya , keval darshan, asamvedan,
atma-raman, atal-avghan, amoorti, aguru laghoo aur nirantraya
en aatg guno se sampan, parmatma, parmeshwar, janam, maran,
jara, rog, such, dukh, daridraya rahit anant siddhon ko
vinamra bhav se panchaang pranati purvak vandana Tikhuto,
ayahinam……
Namo Aayariyanam
Param achaar kushal, dharmopdeshak,
dharamad-hurandhar, bahusrut, medhavi, satyanistha,
shradha-dhreti-shakti-shanti sampan, astagani sampada se susobhit,
dravya, kster, kal aur bhav ke gyata, chaturvidh dharm sangh ke
sastha, tirthankar ke pratiniddhi evam chhattish guno ke dharak
Prampujya Ganadhipati Gurudev Shri Tulsi tatha varthaman Acharya Sra
Mahapragyagi aadi dharmocharya ko vinamra bhav se panchang pranati
purvak vandana Tikhuto, ayahinam……
Namo Uvajayanam
Param srut swadhyai, dharma sangh
me Acharya drawa niyukt gyarah ang tatha barah upang ke dharak,
adhyan our adhyapan mein kushal, en pachees guno se susobhit
upadhyon ko vinamra bhav se se panchang pranati purvak vandana
Tikhuto, ayahinam……
Namo Loye Savva Sahunam
Adhyatam sadhna me sanlang panch
mahavrat, panchendriya nigraha chaar kasya vivek bhaav satya, karn
satya, yog satya, kshama, vairagya, man, vachan, kaya, samaharanta,
gyan, darshan, chaaritra sampannata, vedna aur mritu ke prati
sahisnuta, en sataish guno se susobhit parishahajayi, prasuk
aisaniya bhoj, Arhat aur Acharya ki agya ke aradhak, tapodhan sadhu
sadhviyon ko se panchang pranati purvak vandana Tikhuto, ayahinam……
|